Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Ye Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Muhabbat Ki Hai
Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai
Maine Kyun Pyar Kiya Tumse, Kyun Pyar Kiya
In Pareshan Sawalaat Ki Keemat Kya Hai
Tum Jo Yeh Bhi N Bataao To Ye Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Muhabbat Ki Hai
Zindagi Sirf Muhabbat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsar Ki Jannat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai
Bhook Aur Pyaas Ki Maari Huii Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kyuchh Aur Bhi Hai
Tum Agar Aankh Churaao To Ye Haq Hai Tumko
Maine Tumse Hi Nahin Sabse Muhabbat Ki Hai
Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat N Sahi
Sabse Ulfat Sahi Mujhse Hi Muhabbat N Sahi
Main Tumhari Hoon Yahi Mere Liye Kya Kam Hai
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Qismat N Sahi
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Muhabbat Ki Hai
Lyricist : Legendary urdu poet Sahir Ludhianvi
Har shabh jo Ludhianvi sahab ne likha hai bohot hi khoobsoorat hai. It’s pure gold, Sir:) Thanks for sharing with all of us
LikeLike